kisi k samjhdar hone talak

kisi ki nadani se uske sangeen hone talak
koi nahi rukta kisi k samjhdar hone talak
kya dhund raha hai tun kiske aane k intezar main hai ?
koi nahi aane vala hai, kyu bechain hai tun ?
usko jata dekh kar bhi to tune kuch na kaha tha , ab kis baat ki bedili hai tujhe sab se ?
kya kuch sach main kho gaya hai tera ?
vo gairon k sath sab baant kar khus tha bhi agar to khus rehne diya hota , uski khusi hi to chahta tha na tun, ishq itna matlabi kaise ho gaya tha
ab tere dil main sharmindgi k siwa kuch bhi nahi
kya sun raha hai vo, mafi isse chahiye
par kya tujhe is baar bhi maafi mil jaegi ye swaal phir khud se hi puch, Shayd nahi
muntzir aankhe usi ka hi raah takti hain
par ab vo ja chuka hai ,han shayad hamesha k liye
koi nahi rukta yahan kisi k samjhdar hone talak
princewrites_

agar

aankhen kuch juban kuch or zehn main kuch
uff, meri jaan kuch bhi kaho par kaho to
hum bhi nahi chahte k taa-umr k marasim ho’n
azzi kuch der hi shhi, dil main raho to
abhi waqt nikla nahi hai k kuch ho na sakke
hum ab bhi tumhare ho sakte hain, agar kaho to
ghumne ko to sari hayaat bhi choti pad jaegi
is dil main bhi dil lag jaega, agar raho to

princewrites_

11

kab tak

aana hai to pehle itlaah kar diya jaae
main kab tak khud ko khula rakhunga

zeene ki khwahish orr sab mari hui si hasraten
main sab ko bapis bula rakhunga

toon aa to kamil ho jaaun
kab tak khud ko khud se juda rakhunga

tun aae to khuda se bhi bgaawat manzoor mujhe
sazdon main pehle tujhe, duje pe khuda rakhunga

par ab k jo aana to pura hi aana
main kab tak tujhe sab se chupa rakhunga

princewrites_

12