agar

aankhen kuch juban kuch or zehn main kuch
uff, meri jaan kuch bhi kaho par kaho to
hum bhi nahi chahte k taa-umr k marasim ho’n
azzi kuch der hi shhi, dil main raho to
abhi waqt nikla nahi hai k kuch ho na sakke
hum ab bhi tumhare ho sakte hain, agar kaho to
ghumne ko to sari hayaat bhi choti pad jaegi
is dil main bhi dil lag jaega, agar raho to

princewrites_

11

kab tak

aana hai to pehle itlaah kar diya jaae
main kab tak khud ko khula rakhunga

zeene ki khwahish orr sab mari hui si hasraten
main sab ko bapis bula rakhunga

toon aa to kamil ho jaaun
kab tak khud ko khud se juda rakhunga

tun aae to khuda se bhi bgaawat manzoor mujhe
sazdon main pehle tujhe, duje pe khuda rakhunga

par ab k jo aana to pura hi aana
main kab tak tujhe sab se chupa rakhunga

princewrites_

12

acha lagta hai

tere bare main sochna mujh ko acha lagta hai
teri khusboo main rehna mujh ko acha lagta hai

k jab masroof hoti ho, mujh se baat nahi karti
purane sare msg padhna mujh ko acha lagta hai

karti ho jab hass k baat k gam bhool jate hain
mujh ko us call pe rehna acha lagta hai

bepanaah mohhabat hai tujh se mujhe
mujhe tere naaz uthana acha lagta hai

khuda se pehle tujh ko rakha na hi kabhi haz ko gya
jaha’n mil leti hai tu’n, mujhe vohi makka lagta hai

princewrites_

12

koi nahi kisi ka dushman

mere har haalat ka sabab mujh se hai
jaisa main kisi k sath tha vesi vo mujh se hai

sab kuch apna kho kar bas ye jana hai mene
koi nahi kisi ka dushman, ladai khud se hai

tikhi dhaar is dunia main,khud ko khud hi pena hona hai
kisi se koi gila nahi,ab meri bagavat khud se hai

ik chah adhuri hai ki usko ye samjha paau
vo kisi k sath nhi jo rishta uss se hai

princewrites_

Ik Umeed

suna hai chand bhi taakta hai unko door gagan se
vo chehre se zulfon ko hatana unka

suna hai koyalen bhi unko ruk k sunti hain
vo pehle pehar me madhur madhur gungunana unka

suna hai aashiq dekh kar unko dam bharte hain
vo bheege baalon chatt pe jo aana unka

suna hai phool bhi mureed hain unki mehak-ae-badan k
srre raah loot’ta hai dil, muskurahna unka

dekhne bahr se sab unko besudh ho jate hain
kya mukabla karega koi maikhana unka

bicha rakha hai dil ko hamne unki rahon main
kabhi to hoga hamari glli main aana jaana unka

kabhi to hongi shame’n unki mere aangan main
kabhi to hogi god meri sirhana unka

princewrites_

kazal bhri aankhen

daag ae dil dunia se ham chupane lgge
likhe the jo aapki yaad main pnne vo jalane lgge

kuch din ka sath hi to tha magar
bhoolne main unko hamhe zamane lgge

hui nhi mohhabat unke siva phir kisi se
yu’n to in aankho ko kai or bhi suhane lgge

koshishen to kher zamana kar hi rha tha k mar jaau
lekin vo teer unhi k the jo nishaane lgge

aaj phir kazal bhri aankhen pyar se dekh rhi thi mujhe
yaad humhe phir se fareb k din aane lgge

princewrites_

 

Sab hath khuda k

ab phool ugge ya na ugge ye hath khuda k
hum chahat ka apni beez bo aae hain

vo jiski silvatton me uski khoosboo thi ghuli
ghar se nikle, to aaj vo chadar bhi dho aae hain

vo puch baithi thi chasm-ae-nam ka sabab
apna rona sab aaj khul kar ro aae hain

waqt-ae-ruksat mene han main han milali unke
ab door ho kar sochte hain ki kya kho aae hain

princewrites_