jab me tumse milta hu’n

bdde din khus sa rehta hu’n, tum yaad aati ho
sab acha laga hai, sab kha nhi jata
ke jab me tumse milta hu’n

aankho me tum hoti ho, har rang dil ko jachta hai
sab ache lagte hain, me aksar jinse chidhta hu’n
ke jab me tumse milta hu’n

ye dunia dari ye bazaari kuch yaad nhi hoti
is zindgi me zindgi bas uatni hoti hai
ke jab me tumse milta hu’n

bdda kuch kehna chahta hu’n, bdda kuch soch k aata hu’n
tum samne hoti ho, kuch keh nhi pata
ke jab me tumse milta hu’n

princewrites_

Mohhabat chupane se chupti nhi

suna hai mohhabat chupane se chupti nhi
ye kaise mohhabat hai jana tumhari jo mujh ko khi’n bhi  dikhti nhi

ishq  hai to ishq ka izhaar zaruri hai
bina buniyaad k diwaren bhi tikti nhi

mili hai gar daulat to isse yu’nhi mat lotaaiye
mohhabat khatm ho jaae to dobara milti nhi

koi shaak agar pyaar ki koi galtfehmi kaat de
laakh baad pani do, klli vo  phir se khilti nhi

ishq khuda ka ghar hai jaana yhan sar ko jhukaya jata hai
jo is dar se thukrya jata hai, kisi dar pe jagh phir milti nhi

princewrites_

Vo aai

vo aai sab roshan hua, vo gyi andhiyara ho gya
vo aai khuda ho gya main, gyi bechara ho gya

humko meri jaan kasam ye aana jana le dooba
khud ko bhi na khabar hui me kab awara ho gya

pehle didar-ae-hasrat unki, fir judaiyan maar gyi
yaaden unki likhi humne apna guzara ho gya

kisi tilisam jaisa vo, kuch samjh na aaya kya hua
usne jane kaise dekha, vo dil ko gawara ho gya

princewrites_

(more…)