Socho

socho ki tum kisi sham ko apni kalam uthati ho
nhi milta kuch likhne ko or vhi tum so jati ho

socho ki achanak se umhe khyal mera phir aaya ho
likhne ko mere bare main tumhara man phir chaha ho

socho k tumne likh kar us pnne ko chuma ho
likha jo ho us khatt main, har sapana vo apna ho

socho ki likhne k baad tumhara man phir ghbaraya ho
ghar valon k dar se phir tumne usse chupaya ho

pakdao jab vo khatt tum mujhe, man tumara ghabraya ho
padh k tumhare khatt ko mene , tumhe seene se lagaya ho

socho k dil apne ek sath dhadkte ho’n
socho ki ye sab baaten sochni na padti ho’n

princewrites_

intezari

mohhabat jo ho rhi hai tumse
shayad aakhiri bari hai

din to nikal leta hu’n kaise bhi
is dil par raat bhari hai

k kuch dar sa lagta hai
mar na jaau’n tum bin
ab in sanso’n pe teri ikhtyari hai

lagta hai kabhi k mohhabat hai tumko bhi
na jane kya hai aisi baat jiski pardadari hai

bebas sa lagta hai, tumko samjha nhi pata
bas itna kehta hu’n tumhari intezari hai

princewrites_

vairi dil

haal unka agar puchne se hi pta chale
kya fark padta hai kon gya kon aaya

mandir bhi gya maszid bhi gya,
tabeez bhi pehan kar dekh liye
vo na meri ho paai, mai’ne kya kya na aazmaya

laakh samjhaya dil ko mene, ye na kinara kar paya
bddi sunaai dil ko mene, khud ko bdda uksaya

rakhne ko shart’en apni mai’n bhi rakh du’n aage
kya krega kho kar usko, mujhe dil ne bdda daraya

uss se koi gilla nhi ye dil hi mera veri hai
sari dunia zeet li mene, khud se jeet na paya

princewrites_

mai’n jaan’na chahta hu’n

ik mod aaega kahani mai’n jab hum sath na honge
kha’n kha’n jaogi tab apna dil lagane ko
mai’n jaan’na chahata hu’n

mai’n nhi hou’nga tumhe hasane ko
tumhara man behlane ko
kha’n kha’n jaogi tab apna dil lagane ko
mai’n jaan’na chahta hu’n

kon si aisi jagh hai jha’n meri yaad na aaegi
kon si aisi baat hai jo tumhe rulaegi
kon sa bahana dhundogi tab mujhe satane ko
mai’n jaan’na chahta hu’n

kya jaogi us railway station par, jha’n tum aksar jati thi
kya yaad aaengi vo sab baaten jo tum mujhe sunati thi

kaisa lagega jab koi tumhe shayri sunaega
acha lagega tumko ya fir rona aaega
mai’n jaan’na chahta hu’n

kaisa lgega jab humnaam mera koi saamne aaega
ansuna kar dogi ya chehra saamne aaega

kis ko jeebh nikalogi tum kis ko pyar se dekhogi
kaisa lgega tumhe jab kisi jodi ko dekhogi
mai’n jaan’na chahta hu’n

kya krogi jaana tab tum samy bitane ko
kya sochogi tab, jo choot gya batane ko
mai’n jaan’na chahta hu’n

mai’n jaan’na chahta hu’n

princewrites_

husan-ae-malika

dil chahta hai bhot sa likhna, tareef-ae-husan mai’n uski
lafzo’n mai’n jo kaid ho, itni vo aam nhi

ye likhu’n, ya vo likhu’n , kya hi likh du’n kuch pta nhi
bechaini chahi rehti hai, dil ko zrra aaram nhi

mehngi se mehngi pee k dekhi, sabne ghutne tek diye
uski aankho se jayada chdhe aisa koi jaam nhi

aashiq uske kho kar usme, jane likhte hai’n kya kya
husan-ae-malika keh deti hai, unhe duja koi kaam nhi

princewrites_