koi nahi kisi ka dushman

mere har haalat ka sabab mujh se hai
jaisa main kisi k sath tha vesi vo mujh se hai

sab kuch apna kho kar bas ye jana hai mene
koi nahi kisi ka dushman, ladai khud se hai

tikhi dhaar is dunia main,khud ko khud hi pena hona hai
kisi se koi gila nahi,ab meri bagavat khud se hai

ik chah adhuri hai ki usko ye samjha paau
vo kisi k sath nhi jo rishta uss se hai

princewrites_

kazal bhri aankhen

daag ae dil dunia se ham chupane lgge
likhe the jo aapki yaad main pnne vo jalane lgge

kuch din ka sath hi to tha magar
bhoolne main unko hamhe zamane lgge

hui nhi mohhabat unke siva phir kisi se
yu’n to in aankho ko kai or bhi suhane lgge

koshishen to kher zamana kar hi rha tha k mar jaau
lekin vo teer unhi k the jo nishaane lgge

aaj phir kazal bhri aankhen pyar se dekh rhi thi mujhe
yaad humhe phir se fareb k din aane lgge

princewrites_

 

intezari

mohhabat jo ho rhi hai tumse
shayad aakhiri bari hai

din to nikal leta hu’n kaise bhi
is dil par raat bhari hai

k kuch dar sa lagta hai
mar na jaau’n tum bin
ab in sanso’n pe teri ikhtyari hai

lagta hai kabhi k mohhabat hai tumko bhi
na jane kya hai aisi baat jiski pardadari hai

bebas sa lagta hai, tumko samjha nhi pata
bas itna kehta hu’n tumhari intezari hai

princewrites_

vairi dil

haal unka agar puchne se hi pta chale
kya fark padta hai kon gya kon aaya

mandir bhi gya maszid bhi gya,
tabeez bhi pehan kar dekh liye
vo na meri ho paai, mai’ne kya kya na aazmaya

laakh samjhaya dil ko mene, ye na kinara kar paya
bddi sunaai dil ko mene, khud ko bdda uksaya

rakhne ko shart’en apni mai’n bhi rakh du’n aage
kya krega kho kar usko, mujhe dil ne bdda daraya

uss se koi gilla nhi ye dil hi mera veri hai
sari dunia zeet li mene, khud se jeet na paya

princewrites_