mai’n jaan’na chahta hu’n

ik mod aaega kahani mai’n jab hum sath na honge
kha’n kha’n jaogi tab apna dil lagane ko
mai’n jaan’na chahata hu’n

mai’n nhi hou’nga tumhe hasane ko
tumhara man behlane ko
kha’n kha’n jaogi tab apna dil lagane ko
mai’n jaan’na chahta hu’n

kon si aisi jagh hai jha’n meri yaad na aaegi
kon si aisi baat hai jo tumhe rulaegi
kon sa bahana dhundogi tab mujhe satane ko
mai’n jaan’na chahta hu’n

kya jaogi us railway station par, jha’n tum aksar jati thi
kya yaad aaengi vo sab baaten jo tum mujhe sunati thi

kaisa lagega jab koi tumhe shayri sunaega
acha lagega tumko ya fir rona aaega
mai’n jaan’na chahta hu’n

kaisa lgega jab humnaam mera koi saamne aaega
ansuna kar dogi ya chehra saamne aaega

kis ko jeebh nikalogi tum kis ko pyar se dekhogi
kaisa lgega tumhe jab kisi jodi ko dekhogi
mai’n jaan’na chahta hu’n

kya krogi jaana tab tum samy bitane ko
kya sochogi tab, jo choot gya batane ko
mai’n jaan’na chahta hu’n

mai’n jaan’na chahta hu’n

princewrites_

Mujh sa koi lachar nhi

sath ho tum mere
par kaise khu’n intezar nhi

mukmal ishq me jo  ho shiddat
tum me abhi vo shumaar nhi

dil karta hai tujh se baat na kru’n
par ye bhi nhi k tujh se pyar nhi

pehle khud ka tha, ab tera hu’n
mera khud pe hi ikhtiyaar nhi

dwaa ho tum mere marz ki
ab mujh sa koi lachar nhi

jo haal kiya hai kabhi dekh jana
in saanso’n ka koi aitbaar nhi

princewrites_